zindagi mazhab dosti aur pyaar ke qabil nahin
yaani murshad ham kisi seedi ke qabil nahin
ham saraasar sach ugalte hain kisi bhi baat par
ham siyaasat ke kisi darbaar ke qabil nahin
ek jaanib biwi bacche ek jaanib waalidain
dil mera aangan hai par deewaar ke qabil nahin
zindagi mein kul mere do chaar hi to log hain
sach kahoon to main inheen do chaar ke qabil nahin
khol khidki dekh baahar ham khade hain aas mein
ye bata kya ham tere deedaar ke qabil nahin
ab jo hamne pyaar ka izhaar kar daala hai to
ab hamaari zindagi itwaar. ke qabil nahin
koi bhookha mar gaya hai gar sadak par chhodiye
is samay to ye khabar akhbaar ke qabil nahin
aap maasumon ke gardan kaatte hain kaatiye
meri gardan aapke talwaar ke qabil nahin
desh ki sarkaar naqaabil hai aisa mat kaho
ye bhi ho saka hai ham sarkaar ke qabil nahin
ham hain nakli meer hamse sher suniye doston
ye zamaana meer ke ash'aar ke qabil nahin
ज़ीस्त मजहब दोस्ती और प्यार के क़ाबिल नहीं
यानि मुर्शद हम किसी क़िरदार के क़ाबिल नहीं
हम सरासर सच उगलते हैं किसी भी बात पर
हम सियासत के किसी दरबार के क़ाबिल नहीं
एक जानिब बीवी बच्चे एक जानिब वालिदैन
दिल मेरा आँगन है पर दीवार के क़ाबिल नहीं
ज़िंदगी में कुल मेरे दो चार ही तो लोग हैं
सच कहूँ तो मैं इन्हीं दो चार के क़ाबिल नहीं
खोल खिड़की देख बाहर हम खड़े हैं आस में
ये बता क्या हम तेरे दीदार के क़ाबिल नहीं
अब जो हमने प्यार का इज़हार कर डाला है तो
अब हमारी ज़िन्दगी इतवार के क़ाबिल नहीं
कोई भूखा मर गया है गर सड़क पर छोड़िये
इस समय तो ये ख़बर अख़बार के क़ाबिल नहीं
आप मासूमों के गर्दन काटते हैं काटिये
मेरी गर्दन आपके तलवार के क़ाबिल नहीं
देश की सरकार नाक़ाबिल है ऐसा मत कहो
ये भी हो सकता है हम सरकार के क़ाबिल नहीं
हम हैं नकली मीर हमसे शेर सुनिये दोस्तों
ये ज़माना मीर के अश'आर के क़ाबिल नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gaurav Singh
our suggestion based on Gaurav Singh
As you were reading Rahbar Shayari Shayari