waqt lega magar ye gham bhi utar jaayega
dheere-dheere hi mohabbat ka asar jaayega
shaks vo jo tera apna hai aakhiran vo bhi
apna vaada na nibhaaega mukar jaayega
waqt mushkil hai samajhta hoon mere dost magar
waqt ye bhi to waqt hi hai guzar jaayega
tujhko behtar hai use paas bula le apne
tujhse gar door vo jaayega to mar jaayega
uski aankhon mein main aaunga neend banke kabhi
leke ik khwaab mere dil ki khabar jaayega
वक़्त लेगा मगर ये ग़म भी उतर जाएगा
धीरे-धीरे ही मोहब्बत का असर जाएगा
शक़्स वो जो तेरा अपना है आख़िरन वो भी
अपना वादा न निभाएगा मुकर जाएगा
वक़्त मुश्किल है समझता हूँ मेरे दोस्त मगर
वक़्त ये भी तो वक़्त ही है गुज़र जाएगा
तुझको बेहतर है उसे पास बुला ले अपने
तुझसे गर दूर वो जाएगा तो मर जाएगा
उसकी आँखों में मैं आऊँगा नींद बनके कभी
लेके इक ख़्वाब मेरे दिल की ख़बर जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hasan Raqim
our suggestion based on Hasan Raqim
As you were reading Neend Shayari Shayari