tumhein na rooth ke yun mujhse jaana chahiye tha
mujhe sataane tumhein yaar aana chahiye tha
main ab samajh gaya tum mujhpe kyun bigadti thi
tumhein bichhadne ka koi bahaana chahiye tha
zara si baat pe tum chhod kar gai mujhko
zara si baat pe to rooth jaana chahiye tha
agar vo baat thi to mujhse kyun chhupa rakhi
agar ye baat hain to phir bataana chahiye tha
bas itna kaam muhabbat mein karna tha tumko
bichhadte waqt zara muskurana chahiye tha
mulaahiza bhi nahin sher par kare koi
kam-az-kam aapne misra uthaana chahiye tha
तुम्हें न रूठ के यूँ मुझसे जाना चाहिए था
मुझे सताने तुम्हें यार आना चाहिए था
मैं अब समझ गया तुम मुझपे क्यों बिगड़ती थी
तुम्हें बिछड़ने का कोई बहाना चाहिए था
ज़रा सी बात पे तुम छोड़ कर गई मुझको
ज़रा सी बात पे तो रूठ जाना चाहिए था
अगर वो बात थी तो मुझसे क्यों छुपा रक्खी
अगर ये बात हैं तो फिर बताना चाहिए था
बस इतना काम मुहब्बत में करना था तुमको
बिछड़ते वक्त ज़रा मुस्कुराना चाहिए था
मुलाहिज़ा भी नहीं शेर पर करे कोई
कम-अज़-कम आपने मिस्रा उठाना चाहिए था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aadi Ratnam
our suggestion based on Aadi Ratnam
As you were reading Waqt Shayari Shayari