khushk hain aankhen meri aur fursat-e-maatam nahin | ख़ुश्क हैं आँखें मेरी और फ़ुर्सत-ए-मातम नहीं

  - AYUSH SONI

khushk hain aankhen meri aur fursat-e-maatam nahin
aur mere gaav mein barsaat ka mausam nahin

choom kar maathe ko kahte ho ki phir milte hain ham
ye gham-e-ulfat hai jaanaan ye koi marham nahin

tu aman ki baat karne aa gaya hai par tere
haath mein khanjar hai tere haath mein parcham nahin

main to tanhaa rah bhi luun yaaron zamaane mein magar
dil pareshaan karta hai iska koi mehram nahin

jis tarah se tum mere khwaabon mein aate ho sanam
meri khaatir tere khwaabon mein wahi aalam nahin

kal siyaasi jashn mein ik shakhs ne hanskar kaha
ye libaas-e-muflisi hai silk ya resham nahin

tum jo kahte the hazaaron hain teri tasveer par
jaanta tha main ki tere paas vo album nahin

zindagi ko zindagi ka naam to de doon magar
zindagi meri jahannum se zara bhi kam nahin

ख़ुश्क हैं आँखें मेरी और फ़ुर्सत-ए-मातम नहीं
और मेरे गाँव में बरसात का मौसम नहीं

चूम कर माथे को कहते हो कि फिर मिलते हैं हम
ये ग़म-ए-उल्फ़त है जानाँ ये कोई मरहम नहीं

तू अमन की बात करने आ गया है पर तेरे
हाथ में ख़ंजर है, तेरे हाथ में परचम नहीं

मैं तो तन्हा रह भी लूँ यारों ज़माने में मगर
दिल परेशाँ करता है, इसका कोई महरम नहीं

जिस तरह से तुम मेरे ख़्वाबों में आते हो सनम
मेरी ख़ातिर तेरे ख़्वाबों में वही आलम नहीं

कल सियासी जश्न में इक शख़्स ने हँसकर कहा
ये लिबास-ए-मुफ़्लिसी है सिल्क या रेशम नहीं

तुम जो कहते थे हज़ारों हैं तेरी तस्वीर, पर
जानता था मैं कि तेरे पास वो अल्बम नहीं

ज़िंदगी को ज़िंदगी का नाम तो दे दूँ मगर
ज़िंदगी मेरी जहन्नुम से ज़रा भी कम नहीं

  - AYUSH SONI

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by AYUSH SONI

As you were reading Shayari by AYUSH SONI

Similar Writers

our suggestion based on AYUSH SONI

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari