garche main apni dil ki duniya aabaad nahin rakh saka
par bhula kar main tumhein dil ko naashaad nahin rakh saka
mera dil ek parinda hai aisa ek parinda jisko
kar ke qaid kahi bhi koi bhi sayyaad nahin rakh saka
teri yaadon mein rahte hue ek zamaana beet gaya
tera kehna to tha ki main tujhe yaad nahin rakh saka
khoob tabaah gham-o-dard-e-judaai ne kar liya mujhe
ab main kisi bhi gham mein khud ko barbaad nahin rakh saka
maine muhabbat mein ik roz badal diya khuda apna
rasman khuda ke dar furqat mein faryaad nahin rakh saka
tumhaari yaadon ki nemat hai mere sukhun ki barkat
main khud ko tumhaari yaadon se azaad nahin rakh saka
maine mehfil mein rakh di hai hans kar jo baatein likh rakho
ye baatein koi sukhanvar mere baad nahin rakh saka
गरचे मैं अपनी दिल की दुनिया आबाद नहीं रख सकता
पर भुला कर मैं तुम्हें दिल को नाशाद नहीं रख सकता
मेरा दिल एक परिंदा है ऐसा एक परिंदा जिसको
कर के क़ैद कहीं भी कोई भी सय्याद नहीं रख सकता
तेरी यादों में रहते हुए एक ज़माना बीत गया
तेरा कहना तो था कि मैं तुझे याद नहीं रख सकता
खूब तबाह ग़म-ओ-दर्द-ए-जुदाई ने कर लिया मुझे
अब मैं किसी भी ग़म में ख़ुद को बर्बाद नहीं रख सकता
मैंने मुहब्बत में इक रोज़ बदल दिया ख़ुदा अपना
रस्मन ख़ुदा के दर फुरक़त में फर्याद नहीं रख सकता
तुम्हारी यादों की नेमत है मेरे सुख़न की बरकत
मैं ख़ुद को तुम्हारी यादों से आज़ाद नहीं रख सकता
मैंने महफ़िल में रख दी है हँस कर जो बातें लिख रक्खो
ये बातें कोई सुख़नवर मेरे बाद नहीं रख सकता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chandan Sharma
our suggestion based on Chandan Sharma
As you were reading Parinda Shayari Shayari