baat sach hai main kisi ke intizaar mein nahin
aisa bhi nahin main ishq ke khumaar mein nahin
is tarah na aa tu ban sanwar ke mere saamne
tujh se dil lagana mere ikhtiyaar mein nahin
jis tarah ke rangon se bana hai yah tira badan
aise rang to yahan kisi bahaar mein nahin
mujh se milna hai to aa hawa ke jhonke kii tarah
vasl ka maza kisi ke intizaar mein nahin
vasl laazmi hai ishq mein sukoon ke liye
beqaraari kii dava kisi mazaar mein nahin
बात सच है मैं किसी के इंतिज़ार में नहीं
ऐसा भी नहीं मैं इश्क़ के ख़ुमार में नहीं
इस तरह न आ तू बन सँवर के मेरे सामने
तुझ से दिल लगाना मेरे इख़्तियार में नहीं
जिस तरह के रंगों से बना है यह तिरा बदन
ऐसे रंग तो यहाँ किसी बहार में नहीं
मुझ से मिलना है तो आ हवा के झोंके की तरह
वस्ल का मज़ा किसी के इंतिज़ार में नहीं
वस्ल लाज़मी है इश्क़ में सुकून के लिए
बेक़रारी की दवा किसी मज़ार में नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Sach Shayari Shayari