hawaon ko khareeda ja raha hai | हवाओं को ख़रीदा जा रहा है - Meem Alif Shaz

hawaon ko khareeda ja raha hai
chiraagon ko jalaya ja raha hai

ghareebon ko mile insaaf kaise
sabooton ko mitaaya ja raha hai

agar poocho mohabbat to bahut hai
magar maa ko sataaya ja raha hai

karega kaun tum pe ab bharosa
suna hai sach chhupaaya ja raha hai

gharo se kaun kalikh ko nikale
mohabbat ka janaaza ja raha hai

हवाओं को ख़रीदा जा रहा है
चिराग़ों को जलाया जा रहा है

ग़रीबों को मिले इंसाफ़ कैसे
सबूतों को मिटाया जा रहा है

अगर पूछो मोहब्बत तो बहुत है
मगर माँ को सताया जा रहा है

करेगा कौन तुम पे अब भरोसा
सुना है सच छुपाया जा रहा है

घरों से कौन कालिख़ को निकाले
मोहब्बत का जनाज़ा जा रहा है

- Meem Alif Shaz
1 Like

Protest Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meem Alif Shaz

As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz

Similar Writers

our suggestion based on Meem Alif Shaz

Similar Moods

As you were reading Protest Shayari Shayari