main to aksar itna bikhar jaata hoon
rote rote khud se dar jaata hoon
mere andar sannaata thar thar karta hai
aisi khamoshi se main guzar jaata hoon
khud se vaade karta hoon hansne ke
lekin dar ke maare mukar jaata hoon
har ik khwaab adhoora rah jaata hai
phir maayusi lekar ghar jaata hoon
मैं तो अकसर इतना बिखर जाता हूँ
रोते रोते ख़ुद से डर जाता हूँ
मेरे अंदर सन्नाटा थर थर करता है
ऐसी ख़मोशी से मैं गुज़र जाता हूँ
ख़ुद से वादे करता हूँ हँसने के
लेकिन डर के मारे मुकर जाता हूँ
हर इक ख़्वाब अधूरा रह जाता है
फिर मायूसी लेकर घर जाता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Khamoshi Shayari Shayari