tujhe apni tabaahi ka gumaan kyun hai | तुझे अपनी तबाही का गुमाँ क्यों है

  - Meem Alif Shaz

tujhe apni tabaahi ka gumaan kyun hai
tu achha hai to tujh mein yah dhuaan kyun hai

buraai to bahut karta hai bhaai ki
agar woh zakhami hai to tu yahan kyun hai

agar tere labon se phool girte hain
to mehmaanon se khaali yah makaan kyun hai

tujhe ab sochna hai apni hi khaatir
ki tere hi muqaabil yah jahaan kyun hai

तुझे अपनी तबाही का गुमाँ क्यों है
तू अच्छा है तो तुझ में यह धुआँ क्यों है

बुराई तो बहुत करता है भाई की
अगर वह ज़ख़्मी है तो तू यहाँ क्यों है

अगर तेरे लबों से फूल गिरते हैं
तो मेहमानों से ख़ाली यह मकाँ क्यों है

तुझे अब सोचना है अपनी ही ख़ातिर
कि तेरे ही मुक़ाबिल यह जहाँ क्यों है

  - Meem Alif Shaz

Lab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meem Alif Shaz

As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz

Similar Writers

our suggestion based on Meem Alif Shaz

Similar Moods

As you were reading Lab Shayari Shayari