khoon-e-dil jab bhi nikala to ghazal kah daali | ख़ून-ए-दिल जब भी निकाला तो ग़ज़ल कह डाली

  - Khalid Azad

khoon-e-dil jab bhi nikala to ghazal kah daali
zabt jab tera sambhala to ghazal kah daali

muddaton tak teri yaadon pe laga tha pahra
jab hata dil se ye jaalaa to ghazal kah daali

aisi taarikee mein guzri hain hamaari raatein
door jab dekha ujaala to ghazal kah daali

ham se maykash pe khule tab ye nazaare saare
jaam saaqi ne uchhaala to ghazal kah daali

jab vo kooche se kabhi nikle faqat she'r kahe
usne jab ham ko nikala to ghazal kah daali

maine bas husn vo mohabbat pe nahi likhni hai
munh se chin jaaye nivaala to ghazal kah daali

ख़ून-ए-दिल जब भी निकाला तो ग़ज़ल कह डाली
ज़ब्त जब तेरा संभाला तो ग़ज़ल कह डाली

मुदद्तों तक तेरी यादों पे लगा था पहरा
जब हटा दिल से ये जाला तो ग़ज़ल कह डाली

ऐसी तारीकी में गुज़री हैं हमारी रातें
दूर जब देखा उजाला तो ग़ज़ल कह डाली

हम से मयकश पे खुले तब ये नज़ारे सारे
जाम साक़ी ने उछाला तो ग़ज़ल कह डाली

जब वो कूचे से कभी निकले फ़क़त शे'र कहे
उसने जब हम को निकाला तो ग़ज़ल कह डाली

मैंने बस हुस्न वो मोहब्बत पे नही लिखनी है
मुँह से छिन जाए निवाला तो ग़ज़ल कह डाली

  - Khalid Azad

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Khalid Azad

As you were reading Shayari by Khalid Azad

Similar Writers

our suggestion based on Khalid Azad

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari