minnaten karta tha ruk jaao mera koi nahin | मिन्नतें करता था रुक जाओ मिरा कोई नहीं

  - Khan Janbaz

minnaten karta tha ruk jaao mera koi nahin
mere roke se magar kaun ruka koi nahin

dost maashooq sanam aur khuda koi nahin
main to sab ka hoon par afsos mera koi nahin

ab to laazim hai ki vo shakhs mera ho jaaye
ab to duniya mein mera us ke siva koi nahin

umr bhar saath nibhaane ka ye wa'da haaye
umr bhar saath bhala koi raha koi nahin

mere maula ye tire saath arab logon mein
koi bhi mera nahin hai b-khuda koi nahin

bewafaai ko bada jurm bataane waale
yaad hai tu ne bhi chal chhod hata koi nahin

main bhi qaail hoon tiri charagari ka lekin
ik marz aisa bhi hai jis ki dava koi nahin

मिन्नतें करता था रुक जाओ मिरा कोई नहीं
मेरे रोके से मगर कौन रुका कोई नहीं

दोस्त माशूक़ सनम और ख़ुदा कोई नहीं
मैं तो सब का हूँ पर अफ़्सोस मिरा कोई नहीं

अब तो लाज़िम है कि वो शख़्स मिरा हो जाए
अब तो दुनिया में मिरा उस के सिवा कोई नहीं

उम्र भर साथ निभाने का ये वा'दा हाए
उम्र भर साथ भला कोई रहा कोई नहीं

मेरे मौला ये तिरे सात अरब लोगों में
कोई भी मेरा नहीं है ब-ख़ुदा कोई नहीं

बेवफ़ाई को बड़ा जुर्म बताने वाले
याद है तू ने भी चल छोड़ हटा कोई नहीं

मैं भी क़ाइल हूँ तिरी चारागरी का लेकिन
इक मरज़ ऐसा भी है जिस की दवा कोई नहीं

  - Khan Janbaz

Doctor Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Khan Janbaz

As you were reading Shayari by Khan Janbaz

Similar Writers

our suggestion based on Khan Janbaz

Similar Moods

As you were reading Doctor Shayari Shayari