kamaan mujh pe hi taane meri kameen mein hai | कमान मुझ पे ही ताने मेरी कमीन में है

  - Khan Janbaz

kamaan mujh pe hi taane meri kameen mein hai
woh mera dost hai aur meri aasteen mein hai

wahi hai hukm muhabbat mein be-wafaai ka
jo hukm-e-shirk-e-ilaahi khuda ke deen mein hai

kisi ki yaad hai jo dil se door jaati nahin
kisi ki shakl hai jo ab bhi doorbeen mein hai

is iztraab ka awwal to kuchh ilaaj nahin
agarche hai bhi koi to teri jabeen mein hai

tamaam film mein jo waqya kahi bhi nahin
hamein bataaya gaya tha ke last seen mein hai

raqeeb jisko bataata hai shah-kaar ghazal
vo shah-kaar ghazal bhi meri zameen mein hai

कमान मुझ पे ही ताने मेरी कमीन में है
वह मेरा दोस्त है और मेरी आस्तीन में है

वही है हुक्म मुहब्बत में बे-वफाई का
जो हुक्म-ए-शिर्क-ए-इलाही ख़ुदा के दीन में है

किसी की याद है जो दिल से दूर जाती नहीं
किसी की शक्ल है जो अब भी दूरबीन में है

इस इज़तराब का अव्वल तो कुछ इलाज नहीं
अगरचे है भी कोई तो तेरी जबीन में है

तमाम फ़िल्म में जो वाक़्या कहीं भी नहीं
हमें बताया गया था के लास्ट सीन में है

रक़ीब जिसको बताता है शाह-कार ग़ज़ल
वो शाह-कार ग़ज़ल भी मेरी ज़मीन में है

  - Khan Janbaz

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Khan Janbaz

As you were reading Shayari by Khan Janbaz

Similar Writers

our suggestion based on Khan Janbaz

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari