tu saamne hai par tiri ab bhi kami hai dost
dariya ke paas hote hue tishnagi hai dost
duniya se ja raha hoon kisi ki talab liye
vaise ye zindagi badi achhi kati hai dost
ye falsafe lapet ke tum jeb mein rakho
main khoob jaanta hoon mohabbat buri hai dost
ab to bata ki kya hai ye tere khayal mein
jitna main jaanta hoon mohabbat yahi hai dost
aisa nahin ki aankh mein aansu bache faqat
in aansuon ke saath mein ik khwaab bhi hai dost
sach-much to koi tod ke laata nahin hai chaand
ye shaay'ri hai aur faqat shaay'ri hai dost
paane ki zid na koi bichhadne ka khauf hai
achha hai tujh se ishq nahin dosti hai dost
तू सामने है पर तिरी अब भी कमी है दोस्त
दरिया के पास होते हुए तिश्नगी है दोस्त
दुनिया से जा रहा हूँ किसी की तलब लिए
वैसे ये ज़िंदगी बड़ी अच्छी कटी है दोस्त
ये फ़लसफ़े लपेट के तुम जेब में रखो
मैं ख़ूब जानता हूँ मोहब्बत बुरी है दोस्त
अब तो बता कि क्या है ये तेरे ख़याल में
जितना मैं जानता हूँ मोहब्बत यही है दोस्त
ऐसा नहीं कि आँख में आँसू बचे फ़क़त
इन आँसुओं के साथ में इक ख़्वाब भी है दोस्त
सच-मुच तो कोई तोड़ के लाता नहीं है चाँद
ये शाइ'री है और फ़क़त शाइ'री है दोस्त
पाने की ज़िद न कोई बिछड़ने का ख़ौफ़ है
अच्छा है तुझ से इश्क़ नहीं दोस्ती है दोस्त
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khan Janbaz
our suggestion based on Khan Janbaz
As you were reading Yaad Shayari Shayari