main shakl dekh ke kaise kahoon ki kya hoga
haseen shakhs hai mumkin hai bewafa hoga
tumhein khayal bhi aaya safar pe jaate hue
tumhaare ba'ad hamaara yahan pe kya hoga
main jhooth bol ke aaya tha waapsi ka jise
vo shakhs ab bhi meri raah dekhta hoga
ye dosti na kahi pyaar mein badal jaaye
ab apne darmiyaan thoda sa fasla hoga
ye raaz mujh pe khula ab ki mera koi nahin
main sochta tha mere saath bhi khuda hoga
ye shaay'ri ka to khud shauq tha use jaanbaaz
haan sha'iron se koi mas'ala raha hoga
मैं शक्ल देख के कैसे कहूँ कि क्या होगा
हसीन शख़्स है मुमकिन है बेवफ़ा होगा
तुम्हें ख़याल भी आया सफ़र पे जाते हुए
तुम्हारे बा'द हमारा यहाँ पे क्या होगा
मैं झूट बोल के आया था वापसी का जिसे
वो शख़्स अब भी मिरी राह देखता होगा
ये दोस्ती न कहीं प्यार में बदल जाए
अब अपने दरमियाँ थोड़ा सा फ़ासला होगा
ये राज़ मुझ पे खुला अब कि मेरा कोई नहीं
मैं सोचता था मिरे साथ भी ख़ुदा होगा
ये शाइ'री का तो ख़ुद शौक़ था उसे 'जाँबाज़'
हाँ शाइ'रों से कोई मसअला रहा होगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khan Janbaz
our suggestion based on Khan Janbaz
As you were reading Jhooth Shayari Shayari