aasmaan aur is zameen ka paas aana rah gaya | आसमाँ और इस ज़मीं का पास आना रह गया

  - Divya 'Kumar Sahab'

aasmaan aur is zameen ka paas aana rah gaya
maang mein sindoor uske bas lagana rah gaya

vo agar kahte kabhi chat par bula lo chaand ko
phir pakad kar haath unka chat pe jaana rah gaya

bhool kar aage badhoonga tay kiya tha ek din
badh gaya aage zamaana main puraana rah gaya

maut hi ye shart hai bas door jaane ke liye
door usne kar diya ab door jaana rah gaya

le gaye ho dil mera tum rah gaya hai pyaar ye
vo tumhaare paas kaudi hai khazana rah gaya

waqt to chalta raha par kuchh kahi par ruk gaya
badh gayi ye zindagi poora fasaana rah gaya

sochta hoon qaid se khud ko chhuda laaya magar
ab yahan is qaid ko khud se chhudana rah gaya

आसमाँ और इस ज़मीं का पास आना रह गया
माँग में सिंदूर उसके बस लगाना रह गया

वो अगर कहते कभी छत पर बुला लो चाँद को
फिर पकड़ कर हाथ उनका छत पे जाना रह गया

भूल कर आगे बढ़ूँगा तय किया था एक दिन
बढ़ गया आगे ज़माना मैं पुराना रह गया

मौत ही ये शर्त है बस दूर जाने के लिए
दूर उसने कर दिया अब दूर जाना रह गया

ले गए हो दिल मेरा तुम रह गया है प्यार ये
वो तुम्हारे पास कौड़ी है ख़ज़ाना रह गया

वक़्त तो चलता रहा पर कुछ कहीं पर रुक गया
बढ़ गयी ये ज़िंदगी पूरा फ़साना रह गया

सोचता हूँ क़ैद से ख़ुद को छुड़ा लाया मगर
अब यहाँ इस क़ैद को ख़ुद से छुड़ाना रह गया

  - Divya 'Kumar Sahab'

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Divya 'Kumar Sahab'

As you were reading Shayari by Divya 'Kumar Sahab'

Similar Writers

our suggestion based on Divya 'Kumar Sahab'

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari