yah hawa roz diya ghar ka bujha jaati hai
raushni cheen ke taarikee bitha jaati hai
khwaab mein jo dar-o-deewar khadi karta hoon
vo sehar neend se uththa ke gira jaati hai
yaad aao na hamein chhod ke jaane waale
zehan mein yaad kai zakhm bana jaati hai
jab laga kuchh bhi nahin dekhne ko duniya mein
phir naya ek tamasha ye dikha jaati hai
shehr-dar-shehr badal kar bhi nahin hai raahat
har jagah saath mein maazi ki khata jaati hai
hamne koshish to ki patthar ki tarah banne ki
kuchh na kuchh baat magar hamko rula jaati hai
यह हवा रोज़ दिया घर का बुझा जाती है
रौशनी छीन के तारीकी बिठा जाती है
ख़्वाब में जो दर-ओ-दीवार खड़ी करता हूॅं
वो सहर नींद से उठ्ठा के गिरा जाती है
याद आओ न हमें छोड़ के जाने वाले
ज़ेहन में याद कई ज़ख्म बना जाती है
जब लगा कुछ भी नहीं देखने को दुनिया में
फिर नया एक तमाशा ये दिखा जाती है
शहर-दर-शहर बदल कर भी नहीं है राहत
हर जगह साथ में माज़ी की ख़ता जाती है
हमने कोशिश तो की पत्थर की तरह बनने की
कुछ न कुछ बात मगर हमको रुला जाती है!
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by M R CHAUHAN
our suggestion based on M R CHAUHAN
As you were reading Manzil Shayari Shayari