baarish mein akshar naav kagaz ki banaate the miyaan
in mausamon ka lutf pehle yoon uthaate the miyaan
ab khidkiyon se dhoop aati hai to aankhen khulti hain
pehle ujaale se bhi jaldi jaag jaate the miyaan
hai munh-zabaani yaad guzre daur ke kisse hamein
kaise kamaate the ki kaise ghar chalaate the miyaan
बारिश में अक्सर नाव कागज़ की बनाते थे मियाँ
इन मौसमों का लुत्फ़ पहले यूॅं उठाते थे मियाँ
अब खिड़कियों से धूप आती है तो आँखें खुलती हैं
पहले उजाले से भी जल्दी जाग जाते थे मियाँ
है मुँह-ज़बानी याद गुज़रे दौर के किस्से हमें
कैसे कमाते थे कि कैसे घर चलाते थे मियाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by M R CHAUHAN
our suggestion based on M R CHAUHAN
As you were reading Ghar Shayari Shayari