mashqat gar karo to kya nahin hota
palat jaati hai baazi ho agar jazba
hunar apna bakhoobi jaante hain jo
bana dete hain vo mitti ko bhi sona
diya karte hain raste unko parvat bhi
junoon rakhte hain jo manzil ko paane ka
kai naakaamiyon ka bojh hai ham par
siva ik kaamyaabi se na kam hoga
hamaari haar dekhi bas zamaane ne
hamaara hausla bhi dekhne ko tha
hamein bhi chahiye ik jaam ae jam koii
hamein bhi dekhni hai baith kar duniya
मशक़्क़त गर करो तो क्या नहीं होता
पलट जाती है बाज़ी हो अगर जज़्बा
हुनर अपना बख़ूबी जानते हैं जो
बना देते हैं वो मिट्टी को भी सोना
दिया करते हैं रस्ते उनको पर्वत भी
जुनूँ रखते हैं जो मंज़िल को पाने का
कई नाकामियों का बोझ है हम पर
सिवा इक कामयाबी से न कम होगा
हमारी हार देखी बस ज़माने ने
हमारा हौसला भी देखने को था
हमें भी चाहिए इक जाम ए जम कोई
हमें भी देखनी है बैठ कर दुनिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by M R CHAUHAN
our suggestion based on M R CHAUHAN
As you were reading Shama Shayari Shayari