kisi ki ho nahin sakti hain sirf meri hain | किसी की हो नहीं सकती हैं सिर्फ़ मेरी हैं - Amaan mirza

kisi ki ho nahin sakti hain sirf meri hain
ye mere hujre mein tanhaaiyaan jo phaili hain

yahin kahi pe ho tum main tumhaare paas mein hoon
hamaare darmiyaan ab dooriyaan ye kaisi hain

hain dekhne ko nazaare kai haseen yahan
magar sabhi ki nigaahen tujhi pe thehri hain

phir aaj yaad tumhaari humein rula ke gai
tumhaari yaadein bhi bilkul tumhaare jaisi hain

kisi naye ki ho jaati hain phir purane ke baad
mohabbatein ye zamaane ki jaane kaisi hain

har ek aah ko hamne chhupaaye rakha hai
khamosh rahte hain lab aur aankhen bahti hain

किसी की हो नहीं सकती हैं सिर्फ़ मेरी हैं
ये मेरे हुजरे में तन्हाइयाँ जो फैली हैं

यहीं कहीं पे हो तुम मैं तुम्हारे पास में हूँ
हमारे दरमियाँ अब दूरियाँ ये कैसी हैं

हैं देखने को नज़ारे कई हसीन यहाँ
मगर सभी की निगाहें तुझी पे ठहरी हैं

फिर आज याद  तुम्हारी हमें रुला के गई
तुम्हारी यादें भी बिल्कुल तुम्हारे जैसी हैं

किसी नए की हो जाती हैं फिर पुराने के बाद
मोहब्बतें ये ज़माने की जाने कैसी हैं

हर एक आह को हमने छुपाए रक्खा है
ख़मोश रहते हैं लब और आँखें बहती हैं

- Amaan mirza
2 Likes

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amaan mirza

As you were reading Shayari by Amaan mirza

Similar Writers

our suggestion based on Amaan mirza

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari