rehnuma aaj dar gaye honge
gaanv mein hi thehar gaye honge
sau jano ka hamein pata hai par
aadatan do mukar gaye honge
shams ko roo-b-roo bithaate hain
khaas chashme utar gaye honge
shehar ke bad-tameez se ladke
aakhri baar ghar gaye honge
ishq ka faaeda bataate the
ab yaqeenan sudhar gaye honge
रहनुमा आज डर गए होंगे
गांव में ही ठहर गए होंगे
सौ जनों का हमें पता है पर
आदतन दो मुकर गए होंगे
शम्स को रू-ब-रू बिठाते हैं
ख़ास चश्मे उतर गए होंगे
शहर के बद-तमीज़ से लड़के
आख़री बार घर गए होंगे
इश्क़ का फ़ाएदा बताते थे
अब यक़ीनन सुधर गए होंगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nikhil Tiwari 'Nazeel'
our suggestion based on Nikhil Tiwari 'Nazeel'
As you were reading Ghar Shayari Shayari