tujhe mere bhi seene mein dhanshe nashtar nahin milte | तुझे मेरे भी सीने में धँसे नश्तर नहीं मिलते

  - Nikhil Tiwari 'Nazeel'

tujhe mere bhi seene mein dhanshe nashtar nahin milte
agar is bheed mein dushman mere ham-sar nahin milte

ameeri kii parat jab aadmi pe roz chadhti hai
zabaan waisi nahin milti wahi tevar nahin milte

meri is zeest se kuchh din mujhe bhi kam karaane hain
bahut dhoondha khuda lekin tire daftar nahin milte

bataayein kya hi kitne aaj sargardaan hue hain ham
kabhi saaqi nahin milte kabhi saaghar nahin milte

janaaze pe mili us ik tawaif ne kaha mujhko
yahan to sog barpa है,yahan bistar nahin milte

hamaari naukri ka mas'ala hai kya karein ab ham
kareebi yaar ho kar ke bhi ham yak-sar nahin milte

badi hi door le aaye hamein ye qafile dekho
nikhil is samt mein ab meel ke patthar nahin milte

तुझे मेरे भी सीने में धँसे नश्तर नहीं मिलते
अगर इस भीड़ में दुश्मन मिरे हम-सर नहीं मिलते

अमीरी की परत जब आदमी पे रोज़ चढ़ती है
ज़बाँ वैसी नहीं मिलती वही तेवर नहीं मिलते

मिरी इस ज़ीस्त से कुछ दिन मुझे भी कम कराने हैं
बहुत ढ़ूँढ़ा ख़ुदा लेकिन तिरे दफ़्तर नहीं मिलते

बताएँ क्या ही कितने आज सरगर्दां हुए हैं हम
कभी साक़ी नहीं मिलते कभी साग़र नहीं मिलते

जनाज़े पे मिली उस इक तवाइफ़ ने कहा मुझको
यहाँ तो सोग बरपा है,यहाँ बिस्तर नहीं मिलते

हमारी नौकरी का मसअला है क्या करें अब हम
करीबी यार हो कर के भी हम यक-सर नहीं मिलते

बड़ी ही दूर ले आए हमें ये क़ाफ़िले देखो
निखिल इस सम्त में अब मील के पत्थर नहीं मिलते

  - Nikhil Tiwari 'Nazeel'

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nikhil Tiwari 'Nazeel'

As you were reading Shayari by Nikhil Tiwari 'Nazeel'

Similar Writers

our suggestion based on Nikhil Tiwari 'Nazeel'

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari