saath mere chal rahi hai mudabbir | साथ मेरे चल रही है आलम-ए-रुस्वाइयाँ

  - Pradeep Kumar

saath mere chal rahi hai mudabbir
dekh mere is badan ko kha rahi tanhaaiyaan

main khada hoon kashti par jo kashti hai majhdhaar mein
saath mere bah rahi hai yaadon kii purvaaiyaan

dekh jo paaye nahin ye muflison ka haal to
ai khuda tu cheen le in aankhon kii beenaaiyaan

likh na paaye jo agar ye muflison kii muflisi
ai khuda tu cheen le ye shayari turpaiyaan

zindagi ke rahguzar mein rahte the parchhaai sii
paas aaye to daroon main ab teri parchaaiyaan

साथ मेरे चल रही है आलम-ए-रुस्वाइयाँ
देख मेरे इस बदन को खा रही तन्हाइयाँ

मैं खड़ा हूँ कश्ती पर जो कश्ती है मझधार में
साथ मेरे बह रही है यादों की पुरवाइयाँ

देख जो पाए नहीं ये मुफ़लिसों का हाल तो
ऐ ख़ुदा तू छीन ले इन आँखों की बीनाइयाँ

लिख न पाए जो अगर ये मुफ़लिसों की मुफ़लिसी
ऐ ख़ुदा तू छीन ले ये शायरी तुरपाइयाँ

ज़िंदगी के रहगुज़र में रहते थे परछाई सी
पास आए तो डरूँ मैं अब तेरी परछाइयाँ

  - Pradeep Kumar

More by Pradeep Kumar

As you were reading Shayari by Pradeep Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Pradeep Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari