main charaagon kii tarah jo raat bhar jalta raha
ye na poocho kis tarah main raakh mein dhalt raha
raunaqen jaati rahi mere nazar ke saamne
main muqaddar ka sataaya haath hi malta raha
laut aaya dar vo mere gham khushi ko thaamkar
ek muddat se wahi jo haadsa talta raha
zindagi ne thaamkar jis raah par chhoda mujhe
ek lambi raah thi us raah par chalta raha
hai nahin shikwa mujhe jo bhi gaye achha gaye
yaar tera chhodkar jaana mujhe khalta raha
ajnabi tujhse mila jo mil gai thi zindagi
haan bura sa khwaab tha par khwaab bhi palta raha
मैं चराग़ों की तरह जो रात भर जलता रहा
ये न पूछो किस तरह मैं राख में ढलता रहा
रौनक़ें जाती रही मेरे नज़र के सामने
मैं मुक़द्दर का सताया हाथ ही मलता रहा
लौट आया दर वो मेरे ग़म ख़ुशी को थामकर
एक मुद्दत से वही जो हादसा टलता रहा
ज़िंदगी ने थामकर जिस राह पर छोड़ा मुझे
एक लंबी राह थी उस राह पर चलता रहा
है नहीं शिकवा मुझे जो भी गए अच्छा गए
यार तेरा छोड़कर जाना मुझे खलता रहा
अजनबी तुझसे मिला जो मिल गई थी ज़िंदगी
हाँ बुरा सा ख़्वाब था पर ख़्वाब भी पलता रहा
As you were reading Shayari by Pradeep Kumar
our suggestion based on Pradeep Kumar
As you were reading undefined Shayari