mere aankhon ke pahredaar kaise ho | मिरे आँखों के पहरेदार कैसे हो

  - Pradeep Kumar

mere aankhon ke pahredaar kaise ho
kaho dil ke kiraayedaar kaise ho

kaho hisse ka dard-e-gham ko lekar ab
meri daulat ke hissedaar kaise ho

kahaani mein naya ab mod aaya hai
fulaan hokar salikedaar kaise ho

bataaya tha nahin hona magar ab tum
kaho hokar ke zimmedaar kaise ho

bahut din baad aaye ho magar phir bhi
hamaare gham ke daavedaar kaise ho

मिरे आँखों के पहरेदार कैसे हो
कहो दिल के किरायेदार कैसे हो

कहो हिस्से का दर्द-ए-ग़म को लेकर अब
मिरी दौलत के हिस्सेदार कैसे हो

कहानी में नया अब मोड़ आया है
फ़ुलाँ होकर सलीकेदार कैसे हो

बताया था नहीं होना मगर अब तुम
कहो होकर के ज़िम्मेदार कैसे हो

बहुत दिन बाद आए हो मगर फिर भी
हमारे ग़म के दावेदार कैसे हो

  - Pradeep Kumar

More by Pradeep Kumar

As you were reading Shayari by Pradeep Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Pradeep Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari