khuda ke ghar se main doori banaoonga
jee phir main ghar mein majboori banaoonga
dikha doonga diye ko ek din main khud
yun main khud raushni poori banaoonga
abhi ghar mein naya mehmaan aaya hai
to pehle to main mazdoori banaoonga
mujhe chehra dikhaai to de tab jaanoon
yun bin dekhe to kya doori banaoonga
खुदा के घर से मैं दूरी बनाऊँगा
जी फिर मैं घर में मजबूरी बनाऊँगा
दिखा दूँगा दिए को एक दिन मैं खुद
यूँ मैं ख़ुद रौशनी पूरी बनाऊँगा
अभी घर में नया महमान आया है
तो पहले तो मैं मज़दूरी बनाऊँगा
मुझे चेहरा दिखाई तो दे तब जानूँ
यूँ बिन देखे तो क्या दूरी बनाऊँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amanpreet singh
our suggestion based on Amanpreet singh
As you were reading Faasla Shayari Shayari