chhod kar jaane laga hai haan ye sach hai | छोड़ कर जाने लगा है हाँ ये सच है

  - Amanpreet singh

chhod kar jaane laga hai haan ye sach hai
hijr phir aage khada hai haan ye sach hai

uski kaafi aadaten baaki hain mujhmein
phir bhi vo zid par ada hai haan ye sach hai

yaar main phir se usi ka ho gaya hoon
jo na samjhe kya wafa hai haan ye sach hai

baad mein uske badan se kya milega
bas kahunga jee chakha hai haan ye sach hai

छोड़ कर जाने लगा है हाँ ये सच है
हिज्र फिर आगे खड़ा है हाँ ये सच है

उसकी काफ़ी आदतें बाक़ी हैं मुझमें
फिर भी वो ज़िद पर अड़ा है हाँ ये सच है

यार मैं फिर से उसी का हो गया हूॅं
जो न समझे क्या वफ़ा है हाँ ये सच है

बाद में उसके बदन से क्या मिलेगा
बस कहूँगा जी चखा है हाँ ये सच है

  - Amanpreet singh

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amanpreet singh

As you were reading Shayari by Amanpreet singh

Similar Writers

our suggestion based on Amanpreet singh

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari