samajh aaya mohabbat mein udaasi hai
tumhaari kyun ibadat mein udaasi hai
hamaare hi qabeele se ye nikli hai
hamaari hi rivaayat mein udaasi hai
tujhe achha nahin lagta ye maana chal
teri phir kyun shikaayat mein udaasi hai
alag khaate alag jeete alag ho ab
abhi phir kyun tabeeyat mein udaasi hai
nazar uski mein rahna bhi hai darna bhi
to kya uski ijaazat mein udaasi hai
समझ आया मोहब्बत में उदासी है
तुम्हारी क्यों इबादत में उदासी है
हमारे ही क़बीले से ये निकली है
हमारी ही रिवायत में उदासी है
तुझे अच्छा नहीं लगता ये माना चल
तेरी फिर क्यों शिकायत में उदासी है
अलग खाते अलग जीते अलग हो अब
अभी फिर क्यों तबीअत में उदासी है
नज़र उसकी में रहना भी है डरना भी
तो क्या उसकी इजाज़त में उदासी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amanpreet singh
our suggestion based on Amanpreet singh
As you were reading Aankhein Shayari Shayari