hausla phir jagmagaya der tak | हौसला फिर जगमगाया देर तक

  - Prashant Beybaar

hausla phir jagmagaya der tak
jaltee raaton ko bujhaaya der tak

thak ke taare us falak ke so gaye
jugnoo ik tha timtimaaya der tak

saanson ki vo dor ko thaame raha
maut ne mujh ko bulaaya der tak

bazm mein tha saamne par tha nahin
jhagde ka rishta nibhaaya der tak

mehfilon mein sab tamaashe ho gaye
naam bas uska chhupaaya der tak

हौसला फिर जगमगाया देर तक
जलती रातों को बुझाया देर तक

थक के तारे उस फ़लक के सो गए
जुगनू इक था टिमटिमाया देर तक

साँसों की वो डोर को थामे रहा
मौत ने मुझ को बुलाया देर तक

बज़्म में था सामने पर था नहीं
झगड़े का रिश्ता निभाया देर तक

महफ़िलों में सब तमाशे हो गये
नाम बस उसका छुपाया देर तक

  - Prashant Beybaar

Khudkushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Beybaar

As you were reading Shayari by Prashant Beybaar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Beybaar

Similar Moods

As you were reading Khudkushi Shayari Shayari