chhuvan mein maut chhupi duniya saari qaid hui | छुवन में मौत छुपी, दुनिया सारी क़ैद हुई

  - Prashant Beybaar

chhuvan mein maut chhupi duniya saari qaid hui
dabii dabii si yahan zindagaani qaid hui

jo cheez dikhti nahin hai magar qareeb mere
vo teri khushboo si banke nishaani qaid hui

kahaan to toot ke baahon mein usko bharte the
kahaan yun deed ki chaahat puraani qaid hui

ye saari baithken sooni padi hain tanhaa si
vo yaar doston ki sargiraani qaid hui

jo paanv tikte na the ghar mein koi bhi qeemat
vo mauj masti vo tafree-giraani qaid hui

purane qisson pe jee bhar ke ham to hans lenge
nayi tareen tiri yaad-daani qaid hui

nayi sadi ki bala se ye aadmi haara
ye baat daur ki banke kahaani qaid hui

vo ek waqt tha jab faasle the dushwaari
ye ek daur hai nazdeek-aani qaid hui

bhale hain faasle qurbat se khauf lagta hai
ye kya bala hai jo aisi viraani qaid hui

yahan kise hai garaj ham jiye ya mar jaayen
sabhi ki apni hi koi nishaani qaid hui

छुवन में मौत छुपी, दुनिया सारी क़ैद हुई
दबी दबी सी यहाँ ज़िन्दगानी क़ैद हुई

जो चीज़ दिखती नहीं है मगर क़रीब मिरे
वो तेरी ख़ुश्बू सी बनके निशानी क़ैद हुई

कहाँ तो टूट के बाहों में उसको भरते थे
कहाँ यूँ दीद की चाहत पुरानी क़ैद हुई

ये सारी बैठकें सूनी पड़ी हैं तन्हा सी
वो यार दोस्तों की सरगिरानी क़ैद हुई

जो पाँव टिकते न थे घर में कोई भी क़ीमत
वो मौज मस्ती वो तफ़री-गिरानी क़ैद हुई

पुराने क़िस्सों पे जी भर के हम तो हँस लेंगे
नयी तरीन तिरी याद-दानी क़ैद हुई

नयी सदी की बला से ये आदमी हारा
ये बात दौर की बनके कहानी क़ैद हुई

वो एक वक़्त था जब फ़ासले थे दुश्वारी
ये एक दौर है नज़दीक-आनी क़ैद हुई

भले हैं फ़ासले क़ुर्बत से ख़ौफ़ लगता है
ये क्या बला है जो ऐसी विरानी क़ैद हुई

यहाँ किसे है गरज हम जियें या मर जाएँ
सभी की अपनी ही कोई निशानी क़ैद हुई

  - Prashant Beybaar

Sazaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Beybaar

As you were reading Shayari by Prashant Beybaar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Beybaar

Similar Moods

As you were reading Sazaa Shayari Shayari