is haal par mere zabaan-e-yaas hona chahiye | इस हाल पर मेरे ज़बान-ए-यास होना चाहिए - Naresh sogarwal 'premi'

is haal par mere zabaan-e-yaas hona chahiye
ho paas arse se tumhein aabhaas hona chahiye

main khwaab mein tujhko pareshaani mein dikhta hoon agar
phir tujhko jaan-e-jaan mere hi paas hona chahiye

jo jal raha hai arse se ik ek hissa jism ka
phir zarra zarra khaak se ashkhaas hona chahiye

tumko meri tanhaai ka aabhaas bilkul bhi nahin
is waqt to karvat ka bhi ehsaas hona chahiye

इस हाल पर मेरे ज़बान-ए-यास होना चाहिए
हो पास अरसे से तुम्हें आभास होना चाहिए

मैं ख़्वाब में तुझको परेशानी में दिखता हूँ अगर
फिर तुझको जान-ए-जाँ मेरे ही पास होना चाहिए

जो जल रहा है अरसे से इक एक हिस्सा जिस्म का
फिर ज़र्रा ज़र्रा ख़ाक से अश्ख़ास होना चाहिए

तुमको मिरी तन्हाई का आभास बिल्कुल भी नहीं
इस वक़्त तो करवट का भी एहसास होना चाहिए

- Naresh sogarwal 'premi'
1 Like

More by Naresh sogarwal 'premi'

As you were reading Shayari by Naresh sogarwal 'premi'

Similar Writers

our suggestion based on Naresh sogarwal 'premi'

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari