ye socha tha ghareebi ko kitaabon se mitaaunga
na tha maaloom main bhookha kitaaben hi kha jaaunga
mere kandon pe ghar ka bojh aata ja raha hai ab
main ab khwaabon ko baahar ka hi raasta to dikhaaoonga
ये सोचा था ग़रीबी को किताबों से मिटाऊँगा
न था मालूम मैं भूखा किताबें ही खा जाऊँगा
मिरे कंधों पे घर का बोझ आता जा रहा है अब
मैं अब ख़्वाबों को बाहर का ही रास्ता तो दिखाऊंँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pritam sihag
our suggestion based on Pritam sihag
As you were reading Ghar Shayari Shayari