mujhe tu hi bata tujhe kis tarah chaahoon | "मुझे तू ही बता तुझे किस तरह चाहूंँ" - Raahil

mujhe tu hi bata tujhe kis tarah chaahoon

tumhein rangeeniyon se hai furqat kahaan
tum kahaan is khandhar mein basar kar sakogi
diye jalte hain ye bujhenge bhi ek din
tum kyun insey athkheliyaan kar rahi ho
tum kyun mujhse mere thikaanon ke baare mein itni tafalisi se sab sune ja rahi ho
kya kare ja rahi ho
main muflis hoon oopar se iklaauta saami hoon is makbare ka
main manzil taraashoon tere sang ya phir main waajib tarike se haq ko nibhaaoon
main kis tarah teri panahon me aakar apnon ke kiye ehsaanon ko bhulaaun
mujhe tu hi bata tujhe kis tarah chaahoon

"मुझे तू ही बता तुझे किस तरह चाहूंँ"

तुम्हें रंगीनियों से है फ़ुर्सत कहाँ
तुम कहाँ इस खंडहर में बसर कर सकोगी
दीये जलते हैं ये बुझेंगे भी एक दिन
तुम क्यों इनसे अठखेलियाँ कर रही हो
तुम क्यों मुझसे मेरे ठिकानों के बारे में इतनी तफ़लिसी से सब सुने जा रही हो
क्या करे जा रही हो
मैं मुफ़्लिस हूँ ऊपर से इकलौता सामी हूँ इस मकबरे का
मैं मंजिल तराशूँ तेरे संग या फिर मैं वाजिब तरीके से हक़ को निभाऊं
मैं किस तरह तेरी पनाहों मे आकर अपनों के किए एहसानों को भुलाऊँ
मुझे तू ही बता तुझे किस तरह चाहूंँ

- Raahil
3 Likes

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Raahil

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari