mohabbat ka m'aani jab khula aahista aahista | मोहब्बत का म'आनी जब खुला आहिस्ता आहिस्ता

  - Saahir

mohabbat ka m'aani jab khula aahista aahista
kami ka mujhko andaaza hua aahista aahista

dikhaai deti hai vo har taraf mujhko musalsal taur
musalsal aati hai uski sada aahista aahista

ikatthe rahte the pehle pehal duniya mein ahl-e-bait
kiya zar aur zameenon ne juda aahista aahista

isee dar khidkiyon darwaazon ko khola nahin maine
ki marne lagta hai ghar ka diya aahista aahista

ki ik to poori shab baaki hai oopar se teri aawaaz
so tu apni kahaani ko suna aahista aahista

kai dil todne waali bhi mujhse ishq karti hain
vo mujhse seekh jaati hain wafa aahista aahista

ziyaada der tak tikta nahin hai jhooth par kuchh bhi
yaqeenan sach ka lagta hai pata aahista aahista

rakhen unwaan kya kachhue se waabasta kahaani ka
kisi ne zor se itna kaha aahista aahista

aziyyat chahiye mujhko yahi meri guzaarish hai
gala jallaadon mera kaatna aahista aahista

zara deri hui lekin mili manzil use saahir
musafir jo musalsal tha chala aahista aahista

मोहब्बत का म'आनी जब खुला आहिस्ता आहिस्ता
कमी का मुझको अंदाज़ा हुआ आहिस्ता आहिस्ता

दिखाई देती है वो हर तरफ़ मुझको मुसलसल तौर
मुसलसल आती है उसकी सदा आहिस्ता आहिस्ता

इकठ्ठे रहते थे पहले पहल दुनिया में अहल-ए-बैत
किया ज़र और ज़मीनों ने जुदा आहिस्ता आहिस्ता

इसी डर खिड़कियों दरवाज़ों को खोला नहीं मैंने
कि मरने लगता है घर का दिया आहिस्ता आहिस्ता

कि इक तो पूरी शब बाक़ी है ऊपर से तेरी आवाज़
सो तू अपनी कहानी को सुना आहिस्ता आहिस्ता

कई दिल तोड़ने वाली भी मुझसे इश्क़ करती हैं
वो मुझसे सीख जाती हैं वफ़ा आहिस्ता आहिस्ता

ज़ियादा देर तक टिकता नहीं है झूठ पर कुछ भी
यक़ीनन सच का लगता है पता आहिस्ता आहिस्ता

रखें उनवान क्या कछुए से वाबस्ता कहानी का
किसी ने ज़ोर से इतना कहा "आहिस्ता आहिस्ता"

अज़िय्यत चाहिए मुझको यही मेरी गुज़ारिश है
गला जल्लादों मेरा काटना आहिस्ता आहिस्ता

ज़रा देरी हुई लेकिन मिली मंज़िल उसे 'साहिर'
मुसाफ़िर जो मुसलसल था चला आहिस्ता आहिस्ता

  - Saahir

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saahir

As you were reading Shayari by Saahir

Similar Writers

our suggestion based on Saahir

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari