ghut ghut ke bhi jeena yahan dushwaar bahut hai | घुट घुट के भी जीना यहाँ दुश्वार बहुत है - Rohit tewatia 'Ishq'

ghut ghut ke bhi jeena yahan dushwaar bahut hai
ye dil teri chaahat ka talabgaar bahut hai

khush hi mujhe karna hai to seene se laga lo
gham kheenchne ko aapka deedaar bahut hai

vo aur hain jinko hai bas iqaar ki chaahat
ham aise deewano ko to inkaar bahut hai

ghar ki agar izzat rahe ghar par to hi achha
bazaar ki cheezon ko bhi bazaar bahut hai

aao meri baahon mein ki duniya ko bhula do
duniya ke liye aapka beemaar bahut hai

nafrat jo kabhi badhne lage jang hai jaayaz
phir ishq ko to ek hi lalaakar bahut hai

घुट घुट के भी जीना यहाँ दुश्वार बहुत है
ये दिल तेरी चाहत का तलबगार बहुत है

ख़ुश ही मुझे करना है तो सीने से लगा लो
ग़म खींचने को आपका दीदार बहुत है

वो और हैं जिनको है बस इक़रार की चाहत
हम ऐसे दिवानों को तो इंकार बहुत है

घर की अगर इज़्ज़त रहे घर पर तो ही अच्छा
बाज़ार की चीजों को भी बाज़ार बहुत है

आओ मेरी बाहों में कि दुनिया को भुला दो
दुनिया के लिए आपका बीमार बहुत है

नफ़रत जो कभी बढ़ने लगे जंग है जायज़
फिर इश्क़ को तो एक ही ललकार बहुत है

- Rohit tewatia 'Ishq'
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rohit tewatia 'Ishq'

As you were reading Shayari by Rohit tewatia 'Ishq'

Similar Writers

our suggestion based on Rohit tewatia 'Ishq'

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari