ghar apna is tarah se banaana nahin mujhe | घर अपना इस तरह से बनाना नहीं मुझे

  - Saif Dehlvi

ghar apna is tarah se banaana nahin mujhe
ye daulat-e-haraam kamaana nahin mujhe

ek roz zindagi ne mere kaan mein kaha
ab aur tira saath nibhaana nahin mujhe

kaafi hai tere ishq mein badnaam ho gaya
duniya mein aur naam kamaana nahin mujhe

dekho tamaam raat ka jaaga hua hoon main
so jaaun main agar to jagaana nahin mujhe

hairat hai saif us se mujhe pyaar ho gaya
vo jisne apna yaar bhi maana nahin mujhe

घर अपना इस तरह से बनाना नहीं मुझे
ये दौलत-ए-हराम कमाना नहीं मुझे

एक रोज़ ज़िन्दगी ने मिरे कान में कहा
अब और तिरा साथ निभाना नहीं मुझे

काफ़ी है तेरे इश्क़ में बदनाम हो गया
दुनिया में और नाम कमाना नहीं मुझे

देखो तमाम रात का जागा हुआ हूॅं मैं
सो जाऊँ मैं अगर तो जगाना नहीं मुझे

हैरत है सैफ़ उस से मुझे प्यार हो गया
वो जिसने अपना यार भी माना नहीं मुझे

  - Saif Dehlvi

More by Saif Dehlvi

As you were reading Shayari by Saif Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Saif Dehlvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari