dasht-e-ghurbat mein rote firte hain | दश्त-ए-ग़ुर्बत में रोते फिरते हैं

  - Shajar Abbas

dasht-e-ghurbat mein rote firte hain
apni ham jaan khote firte hain

dekhiye qais phool se dil pe
hijr ka bojh dhote firte hain

gham mein ham aapki judaai ke
apna daaman bhigote firte hain

ishq ki jo bikhar gai tasbeeh
uske daane pirote firte hain

ham shajar dekhiye azeezo mein
meer se khwaar hote firte hain

दश्त-ए-ग़ुर्बत में रोते फिरते हैं
अपनी हम जान खोते फिरते हैं

देखिए क़ैस फूल से दिल पे
हिज्र का बोझ ढोते फिरते हैं

ग़म में हम आपकी जुदाई के
अपना दामन भिगोते फिरते हैं

इश्क़ की जो बिखर गई तस्बीह
उसके दाने पिरोते फिरते हैं

हम शजर देखिए अज़ीज़ो में
मीर से ख़्वार होते फिरते हैं

  - Shajar Abbas

Rose Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Rose Shayari Shayari