dukh mere doston ne mera aise kam kiya | दुख मेरे दोस्तों ने मेरा ऐसे कम किया

  - Shajar Abbas

dukh mere doston ne mera aise kam kiya
ghamgeen mujhko dekh ke har ik ne gham kiya

aankhon se uski ashk-e-nadaamat tapak pade
jab sab ne mujh pe soora-e-yaaseen dam kiya

tab ja ke qalb-e-zaar ko thoda sukoon mila
jab rauza-e-farhaad pe sar apna kham kiya

naqsh-e-qadam pe uske dupatta chala shajar
yun khatm usne jaan ka naqsh-e-qadam kiya

ye misra padh ke hota hai giryaa-kunaan shajar
qismat ne meri mujh pe niraala sitam kiya

दुख मेरे दोस्तों ने मेरा ऐसे कम किया
ग़मगीन मुझको देख के हर इक ने ग़म किया

आँखों से उसकी अश्क-ए-नदामत टपक पड़े
जब सब ने मुझ पे सूरा-ए-यासीन दम किया

तब जा के क़ल्ब-ए-ज़ार को थोड़ा सुकूँ मिला
जब रौज़ा-ए-फ़रहाद पे सर अपना ख़म किया

नक़्श-ए-क़दम पे उसके दुपट्टा चला शजर
यूँ ख़त्म उसने जान का नक़्श-ए-क़दम किया

ये मिसरा पढ़ के होता है गिर्या-कुनाँ शजर
क़िस्मत ने मेरी मुझ पे निराला सितम किया

  - Shajar Abbas

Kitaaben Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Kitaaben Shayari Shayari