ghalib-o-mir sa maana mera deewaan nahin | ग़ालिब-ओ-मीर सा माना मेरा दीवान नहीं - Shajar Abbas

ghalib-o-mir sa maana mera deewaan nahin
mujh sa shayar bhi shajar hona kuch aasaan nahin

maan luun kaise mohammad ka sahaaba usko
ya ali aap pe jis shakhs ka eimaan nahin

hazrat-e-sheikh mujhe leke chalo koo-e-butaan
qalb-e-muztar mein mere khuld ka armaan nahin

ग़ालिब-ओ-मीर सा माना मेरा दीवान नहीं
मुझ सा शायर भी शजर होना कुछ आसान नहीं

मान लूँ कैसे मोहम्मद का सहाबा उसको
या अली आप पे जिस शख़्स का ईमान नहीं

हज़रत-ए-शेख़ मुझे लेके चलो कू-ए-बुताँ
क़ल्ब-ए-मुज़तर में मेरे ख़ुल्द का अरमान नहीं

- Shajar Abbas
2 Likes

Tamanna Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Tamanna Shayari Shayari