ham hain had se guzarne waale log
raah-e-ulfaat mein marne waale log
hausla mera kaise todengi
ye mere par katarne waale log
maut se ham to ishq karte hain
aur honge vo darne waale log
mashwara apna saath le jaao
ham nahin hain sudharne waale log
dekh lo sab humeen se hote hain
doob kar phir ubharne waale log
bah gaye saath saath lehron ke
aab dariya se bharne waale log
kis liye ye hayaat hain ab tak
mere dil se utarne waale log
kyun jahaan se guzar nahin jaate
vaade kar ke mukarne waale log
ab zamaane mein kam hi milte hain
chaai se ishq karne waale log
poochta rah gaya shajar sab se
chal pade kyun thehrne waale log
हम हैं हद से गुज़रने वाले लोग
राह-ए-उलफ़त में मरने वाले लोग
हौसला मेरा कैसे तोड़ेंगे
ये मिरे पर कतरने वाले लोग
मौत से हम तो इश्क़ करते हैं
और होंगे वो डरने वाले लोग
मशवरा अपना साथ ले जाओ
हम नहीं हैं सुधरने वाले लोग
देख लो सब हमीं से होते हैं
डूब कर फिर उभरने वाले लोग
बह गए साथ साथ लहरों के
आब दरिया से भरने वाले लोग
किस लिए ये हयात हैं अब तक
मेरे दिल से उतरने वाले लोग
क्यों जहाँ से गुज़र नहीं जाते
वादे कर के मुकरने वाले लोग
अब ज़माने में कम ही मिलते हैं
चाय से इश्क़ करने वाले लोग
पूछता रह गया शजर सब से
चल पड़े क्यों ठहरने वाले लोग
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Rahbar Shayari Shayari