is saal is tarah se main holi manaaunga | इस साल इस तरह से मैं होली मनाऊँगा

  - Shajar Abbas

is saal is tarah se main holi manaaunga
rukhsaar par gulaal tumhaare lagaaunga

phir rafta rafta aapse nazrein milaaunga
nazrein mila ke aapki neenden churaunga

mujhse bichhadte waqt ye batlaate jaaie
tanhaa main kaise ye gham-e-hijraan uthaaunga

kasrat se tumko baanhon mein apni sametkar
saare munaafiqon ke kaleje jalaaunga

hoga nuzool bar sar-e-mahfil jab aapka
zer-e-paa aapke main gulon ko bichaunga

choomunga pehle honthon se peshaani chaand si
phir tumko jaan-e-jaanaan gale se lagaaunga

vaada hai meri jaan muhabbat mein aapki
taameer ek taajmahal main karaaoonga

apna hain kaun kaun paraaya hai doston
ye jaanne ko main diya ghar ka bujhaunga

jo gazlen likh raha hoon tasavvur mein main tere
teri saheliyon ko vo ghazlein sunaaunga

vo jo shajar hai sehra mein tanhaa khada hua
usko main dil ke kooche mein laakar lagaaunga

इस साल इस तरह से मैं होली मनाऊँगा
रूख़सार पर गुलाल तुम्हारे लगाऊँगा

फिर रफ़्ता रफ़्ता आपसे नज़रें मिलाऊँगा
नज़रें मिला के आपकी नींदें चुराऊँगा

मुझसे बिछड़ते वक़्त ये बतलाते जाइए
तन्हा मैं कैसे ये ग़म-ए-हिज्राँ उठाऊँगा

कसरत से तुमको बाँहों में अपनी समेटकर
सारे मुनाफ़िकों के कलेजे जलाऊँगा

होगा नुज़ूल बर सर-ए-महफ़िल जब आपका
ज़ेर-ए-पा आपके मैं गुलों को बिछाऊँगा

चूमूँगा पहले होंठों से पेशानी चाँद सी
फिर तुमको जान-ए-जानाँ गले से लगाऊँगा

वादा है मेरी जान मुहब्बत में आपकी
तामीर एक ताजमहल मैं कराऊँगा

अपना हैं कौन कौन पराया है दोस्तों
ये जानने को मैं दिया घर का बुझाऊँगा

जो गज़लें लिख रहा हूं तसव्वुर में मैं तेरे
तेरी सहेलियों को वो ग़ज़लें सुनाऊँगा

वो जो शजर है सहरा में तन्हा खड़ा हुआ
उसको मैं दिल के कूचे में लाकर लगाऊँगा

  - Shajar Abbas

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari