hua hai hijr ka kaisa asar ye jee nahin lagta | हुआ है हिज्र का कैसा असर ये जी नहीं लगता

  - Shajar Abbas

hua hai hijr ka kaisa asar ye jee nahin lagta
hamesha jee lagaate hain magar ye jee nahin lagta

ye nauha padh raha hai ik firaq-e-yaar ka maara
bade aaraam se hote agar ye jee nahin lagta

tumhaari yaad se raushan hai dil ki har gali dekho
tumhaare baad lekin lamha bhar ye jee nahin lagta

ye furqat ranj gham ruswaai hijrat hijr tanhaai
hain ham par ye sabhi daulat magar ye jee nahin lagta

firaq-e-yaar jab se ho gaya is soch mein hain ham
karein to kya karein aakhir shajar ye jee nahin lagta

हुआ है हिज्र का कैसा असर ये जी नहीं लगता
हमेशा जी लगाते हैं मगर ये जी नहीं लगता

ये नौहा पढ़ रहा है इक फ़िराक़-ए-यार का मारा
बड़े आराम से होते अगर ये जी नहीं लगता

तुम्हारी याद से रौशन है दिल की हर गली देखो
तुम्हारे बाद लेकिन लम्हा भर ये जी नहीं लगता

ये फ़ुर्क़त रंज ग़म रुसवाई हिजरत हिज्र तन्हाई
हैं हम पर ये सभी दौलत मगर ये जी नहीं लगता

फ़िराक़-ए-यार जब से हो गया इस सोच में हैं हम
करें तो क्या करें आख़िर शजर ये जी नहीं लगता

  - Shajar Abbas

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari