jo dard se sarshaar the manzar nazar aaye | जो दर्द से सरशार थे मंज़र नज़र आए - Shajar Abbas

jo dard se sarshaar the manzar nazar aaye
pyaason ko khayaalon mein samandar nazar aaye

afzal nazar aaye na vo kamtar nazar aaye
mujh sa hai to bas meri barabar nazar aaye

ye soch ke bechain hai sehra mein musaafir
neend aaye koii khwaab ka lashkar nazar aaye

tarteeb se sab palkon kii dahleez pe rakh de
har ashk teri aankh ka gauhar nazar aaye

ye baat haqeeqat hai shajar baad tumhaare
sab phool humein raah ke patthar nazar aaye

जो दर्द से सरशार थे मंज़र नज़र आए
प्यासों को ख़यालों में समंदर नज़र आए

अफ़ज़ल नज़र आए न वो कमतर नज़र आए
मुझ सा है तो बस मेरी बराबर नज़र आए

ये सोच के बेचैन है सहरा में मुसाफ़िर
नींद आए कोई ख़्वाब का लश्कर नज़र आए

तरतीब से सब पलकों की दहलीज़ पे रख दे
हर अश्क तेरी आँख का गौहर नज़र आए

ये बात हक़ीक़त है शजर बाद तुम्हारे
सब फूल हमें राह के पत्थर नज़र आए

- Shajar Abbas
1 Like

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari