jabse college mein mere aayi ho aap | जबसे कॉलेज में मेरे आई हो आप

  - Shajar Abbas

jabse college mein mere aayi ho aap
dil ka saara sukoon churaai ho aap

main hamesha udaas rehta tha
mere hisse mein khushiyaan laai ho aap

dil pe ab mera ikhtiyaar nahin
jabse dil ko padi dikhaai ho aap

maine tumko khuda se maanga hai
tab meri zindagi mein aayi ho aap

naam ki tarah hoo-b-hoo apne
khoobsurat bhi intihaai ho aap

aapne vaada phir wafa na kiya
aaj bhi der se hi aayi ho aap

pur khatra raahon par khuda ki qasam
haan meri karti hamnavaai ho aap

jabse dekha hai tumko hairaan hoon
itni kyun yaar paarsaai ho aap

raaz ki ek baat batlaaoon
meri aankhon ki roshnai ho aap

gul nahin tha vo dil hamaara tha
jisko raaste mein fenk aayi ho aap

chaand jaise haseen chehre se
is zamaane ko jagmagaai ho aap

jab mohabbat ki baat ki hamne
har dafa baat ko ghumaai ho aap

jal rahe hain munaafiqon ke jigar
mujhko nafasat pee pe kyun lagaaee ho aap

roz-e-mahshar khuda karega sawaal
dil shajar ka dukha ke aayi ho aap

jaao paagal shajar ki chaanv mein
dhoop mein kyun nikal ke aayi ho aap

जबसे कॉलेज में मेरे आई हो आप
दिल का सारा सुकूँ चुराई हो आप

मैं हमेशा उदास रहता था
मेरे हिस्से में ख़ुशियाँ लाई हो आप

दिल पे अब मेरा इख़्तियार नहीं
जबसे दिल को पड़ी दिखाई हो आप

मैंने तुमको ख़ुदा से माँगा है
तब मेरी ज़िन्दगी में आई हो आप

नाम की तरह हू-ब-हू अपने
ख़ूबसूरत भी इंतिहाई हो आप

आपने वादा फिर वफ़ा न किया
आज भी देर से ही आई हो आप

पुर ख़तर राहों पर ख़ुदा की क़सम
हाँ मेरी करती हमनवाई हो आप

जबसे देखा है तुमको हैराँ हूँ
इतनी क्यों यार पारसाई हो आप

राज़ की एक बात बतलाऊँ
मेरी आँखों की रौशनाई हो आप

गुल नहीं था वो दिल हमारा था
जिसको रस्ते में फेंक आई हो आप

चाँद जैसे हसीन चेहरे से
इस ज़माने को जगमगाई हो आप

जब मोहब्बत की बात की हमने
हर दफ़ा बात को घुमाई हो आप

जल रहे हैं मुनाफ़िक़ों के जिगर
मुझको डी पी पे क्यों लगाई हो आप

रोज़-ए-महशर ख़ुदा करेगा सवाल
दिल शजर का दुखा के आई हो आप

जाओ पागल शजर की छाँव में
धूप में क्यूँ निकल के आई हो आप

  - Shajar Abbas

Raaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Raaz Shayari Shayari