kisi ko khwaab mein sehra dikhaai deta hai
kisi ko khwaab mein dariya dikhaai deta hai
suno jo aapko chehra dikhaai deta hai
hamein vo chaand ka tukda dikhaai deta hai
wahan pa dekhiye kuchh door yaaron sehra mein
janaab-e-qais ka khema dikhaai deta hai
hamaari nazaron se dekho tum apne gaal ka til
mata-e-jaan ye gehna dikhaai deta hai
khuda ka shukr ada karta hoon main kasrat se
jab uske sar pa dupatta dikhaai deta hai
main jab bhi dekhta hoon haath ki lakeeron ko
tumhaara naam navishta dikhaai deta hai
ilaahi khair ho un saare nau jawaanon ki
jinhen bhi khwaab mein sehra dikhaai deta hai
qasam khuda ki meri jaan tere kooche mein
mujhe jinaan ka nazaara dikhaai deta hai
main apna dard sunaata hoon sher mein likhkar
magar ye sab ko latifa dikhaai deta hai
zamaana kehta hai haalat ko dekhkar meri
ye shakhs ishq ka maara dikhaai deta hai
hamaari aankhon ko kya ho gaya hai jaanen shajar
har ek shakhs farishta dikhaai deta hai
किसी को ख़्वाब में सहरा दिखाई देता है
किसी को ख़्वाब में दरिया दिखाई देता है
सुनो जो आपको चेहरा दिखाई देता है
हमें वो चाँद का टुकड़ा दिखाई देता है
वहाँ पा देखिए कुछ दूर यारों सहरा में
जनाब-ए-क़ैस का ख़ेमा दिखाई देता है
हमारी नज़रों से देखो तुम अपने गाल का तिल
मता-ए-जान ये गहना दिखाई देता है
ख़ुदा का शुक्र अदा करता हूं मैं कसरत से
जब उसके सर पा दुपट्टा दिखाई देता है
मैं जब भी देखता हूं हाथ की लकीरों को
तुम्हारा नाम नविशता दिखाई देता है
इलाही ख़ैर हो उन सारे नौ जवानों की
जिन्हें भी ख़्वाब में सहरा दिखाई देता है
क़सम ख़ुदा की मेरी जान तेरे कूचे में
मुझे जिनाँ का नज़ारा दिखाई देता है
मैं अपना दर्द सुनाता हूं शेर में लिखकर
मगर ये सब को लतीफा दिखाई देता है
ज़माना कहता है हालत को देखकर मेरी
ये शख़्स इश्क़ का मारा दिखाई देता है
हमारी आँखों को क्या हो गया है जानें 'शजर'
हर एक शख़्स फ़रिश्ता दिखाई देता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Ulfat Shayari Shayari