raushan sabhi qirtaas ki taqdeer karenge
jab khalk musavvir teri tasveer karenge
ye dil se tere nikle hue gham ke sataaye
sab apna makaan sehra mein taameer karenge
barbaad gulistaan ko kar denge ye sayyaad
vo parda hataane mein jo taakheer karenge
haq baaki tha haq baaki hai haq baaki rahega
neze se kate sar ye hi taqreer karenge
aaye hain shajar apni tarah shahr-e-sukhan se
ghalib se bayaan meer-taqi-meer karenge
रौशन सभी क़िर्तास की तक़दीर करेंगे
जब ख़ल्क़ मुसव्विर तेरी तस्वीर करेंगे
ये दिल से तेरे निकले हुए ग़म के सताए
सब अपना मकाँ सहरा में तामीर करेंगे
बर्बाद गुलिस्तान को कर देंगे ये सय्याद
वो पर्दा हटाने में जो ताख़ीर करेंगे
हक़ बाक़ी था हक़ बाक़ी है हक़ बाक़ी रहेगा
नेज़े से कटे सर ये ही तक़रीर करेंगे
आए हैं शजर अपनी तरह शहर-ए-सुखन से
ग़ालिब से बयाँ मीर-तक़ी-मीर करेंगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Child labour Shayari Shayari