sharm o haya ka daal ke tan par libaas gul | शर्म ओ हया का डाल के तन पर लिबास गुल

  - Shajar Abbas

sharm o haya ka daal ke tan par libaas gul
rehta hai subah o shaam mere aas paas gul

shaayad kabhi na aayega mausam bahaar ka
hota hai soch soch ke ye be hiraas gul

be khauf ho ke choom meri pattiyaan tu aaj
karta hai ek bhanware se ye iltimaas gul

ye aftaab hai na koii mahtaab hai
pahluu mein ho raha hai meri iqtibaas gul

afsurda haal dekh ke bhanware ka dafatan
haaye chaman mein hone laga bad hawas gul

ye mayqade sii aankhen tiri dekhne ke baad
badhti hi ja rahi hai ye honthon kii pyaas gul

chaaron taraf ye zikr hai gulshan mein shaam se
dekha gaya hai mujhmein tira inikaas gul

usko shareek kar loon main apni hayaat ka
mil jaaye gar chaman mein koii haq shanaas gul

chashm ae shajar par ek qayamat guzar gai
baitha hua chaman mein jo dekha udaas gul

शर्म ओ हया का डाल के तन पर लिबास गुल
रहता है सुब्ह ओ शाम मिरे आस पास गुल

शायद कभी न आएगा मौसम बहार का
होता है सोच सोच के ये बे हिरास गुल

बे ख़ौफ़ हो के चूम मिरी पत्तियाँ तू आज
करता है एक भँवरे से ये इल्तिमास गुल

ये आफ़ताब है न कोई माहताब है
पहलू में हो रहा है मिरी इक़्तिबास गुल

अफ़सुर्दा हाल देख के भँवरे का दफ़अतन
हाए चमन में होने लगा बद हवास गुल

ये मयक़दे सी आँखें तिरी देखने के बाद
बढ़ती ही जा रही है ये होंठों की प्यास गुल

चारों तरफ़ ये ज़िक्र है गुलशन में शाम से
देखा गया है मुझमें तिरा इनइकास गुल

उसको शरीक कर लूँ मैं अपनी हयात का
मिल जाए गर चमन में कोई हक़ शनास गुल

चश्म ए शजर पर एक क़यामत गुज़र गई
बैठा हुआ चमन में जो देखा उदास गुल

  - Shajar Abbas

Ummeed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Ummeed Shayari Shayari