uske baare mein jitna jaana hai
likh ke ghazalon mein sab sunaana hai
ye jo daftar ko aana jaana hai
usse milne ka ik bahaana hai
baa rida hoke ghar se nikla karo
shaahzaadi bura zamaana hai
choomna hai chaman mein kaliyon ko
phir gulon ko gale lagana hai
apna dil main tumhein nahin doongi
ye shajar ka mere thikaana hai
उसके बारे में जितना जाना है
लिख के ग़ज़लों में सब सुनाना है
ये जो दफ़्तर को आना जाना है
उससे मिलने का इक बहाना है
बा रिदा होके घर से निकला करो
शाहज़ादी बुरा ज़माना है
चूमना है चमन में कलियों को
फिर गुलों को गले लगाना है
अपना दिल मैं तुम्हें नहीं दूंगी
ये शजर का मेरे ठिकाना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Environment Shayari Shayari