ham bashar dukhaate hain roz dil bahut iska | हम बशर दुखाते हैं रोज दिल बहुत इसका

  - Dipanshu Shams

ham bashar dukhaate hain roz dil bahut iska
qaaynaat ne phir bhi apna dil bada rakha

boond boond se iski pyaas hai kahaan bujhni
chahiye samandar ko saikdon ravaan dariya

jab tamaam rishton ne thokren mujhe maari
dost phir bana saccha dard naam ka ladka

zindagi bahut sabka imtihaan leti hai
kaash koi iska bhi imtihaan le saka

chaar-soo nazar aati dilruba ki soorat hai
ishq ik tarah ka hai shams aaina-khaana

हम बशर दुखाते हैं रोज दिल बहुत इसका
क़ायनात ने फिर भी अपना दिल बड़ा रक्खा

बूँद बूँद से इसकी प्यास है कहाँ बुझनी
चाहिए समंदर को सैकड़ों रवाँ दरिया

जब तमाम रिश्तों ने ठोकरें मुझे मारी
दोस्त फिर बना सच्चा दर्द नाम का लड़का

ज़िन्दगी बहुत सबका इम्तिहान लेती है
काश कोई इसका भी इम्तिहान ले सकता

चार-सू नज़र आती दिलरुबा की सूरत है
इश्क़ इक तरह का है 'शम्स' आईना-ख़ाना

  - Dipanshu Shams

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dipanshu Shams

As you were reading Shayari by Dipanshu Shams

Similar Writers

our suggestion based on Dipanshu Shams

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari