naaz-nakhre roop saare behtareen | नाज़-नख़रे रूप सारे बेह्तरीन - Dipanshu Shams

naaz-nakhre roop saare behtareen
jaan lagte hain tumhaare behtareen

josh mein padhne laga sunte hi main
waah vaa kya baat pyaare behtareen

bas karo jaan ab haya thak jaayenge
kahte-kahte chaand-taare behtareen

ishq mein nuksaan ka kya sochna
ismein hote hain khasaare behtareen

raqs lehron ka nadi mein dekhkar
kah uthe dono kinaare behtareen

yaade-maazi aayi to bola ye dil
din the bachpan ke hamaare behtareen

नाज़-नख़रे रूप सारे बेह्तरीन
जान! लगते हैं तुम्हारे बेह्तरीन

जोश में पढ़ने लगा सुनते ही मैं
वाह वा! क्या बात, प्यारे बेह्तरीन

बस करो जाँ अब हया थक जाएंगे
कहते-कहते चाँद-तारे बेह्तरीन

इश्क़ में नुकसान का क्या सोचना
इसमें होते हैं ख़सारे बेह्तरीन

रक़्स लहरों का नदी में देखकर
कह उठे दोनों किनारे बेह्तरीन

यादे-माज़ी आयी तो बोला ये दिल
दिन थे, बचपन के हमारे बेह्तरीन

- Dipanshu Shams
1 Like

Bachpan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dipanshu Shams

As you were reading Shayari by Dipanshu Shams

Similar Writers

our suggestion based on Dipanshu Shams

Similar Moods

As you were reading Bachpan Shayari Shayari