adhoora khwaab | "अधूरा ख़्वाब"

  - Shivansh Singhaniya

adhoora khwaab

maine ek adhoora khwaab dekha jo shaayad kabhi poora na ho sakega
ek raat ghar mein mujhe kisi kii aahat hui

mujhe laga ki tum ho

main tumhein dekhne usi band kamre mein gaya
zameen par tumhaari yaadon mein gum so gaya

us khwaab mein jab tum aayein to maine tumhein batlaaya ki
dekho tumhaare jaane ke baad dinon tak hamaara bistar nahin sanwara
us bistar pe bichi chadar kii silvatein aaj bhi jyon kii tyon hain

mujhe ye bistar takiya aur is chadar kii silvatein
har raat unhin beeti tanhaa shabon kii yaad dilaati hai
jo maine aur tumne saath guzaari theen
wahi raatein jin raaton mein tum is chadar kii silvaton kii angadaai mein
aur main tumhaari baanhon mein samaaya tha

main iske aage kuchh aur batla paata aur tumhaare qareeb aata ki
ghar ke darwaaze kii khatkhat ne
meri gahri muqammal neend ko maut mein tabdeel hone se rok liya

aur vo adhoora khwaab adhoora hi raha phir kabhi poora na ho saka

"अधूरा ख़्वाब"

मैंने एक अधूरा ख़्वाब देखा, जो शायद कभी पूरा न हो सकेगा
एक रात घर में मुझे किसी की आहट हुई।

मुझे लगा, कि तुम हो

मैं तुम्हें देखने उसी बंद कमरे में गया।
ज़मीं पर तुम्हारी यादों में गुम सो गया।

उस ख़्वाब में जब तुम आईं, तो मैंने तुम्हें बतलाया कि -
"देखो तुम्हारे जाने के बाद दिनों तक हमारा बिस्तर नहीं सँवरा,
उस बिस्तर पे बिछी चादर की सिलवटें आज भी ज्यों की त्यों हैं ।

मुझे ये बिस्तर, तकिया और इस चादर की सिलवटें,
हर रात उन्हीं बीती तन्हा शबों की याद दिलाती है।
जो मैंने और तुमने साथ गुज़ारी थीं।
वही रातें जिन रातों में तुम इस चादर की सिलवटों की अँगड़ाई में,
और मैं तुम्हारी बाँहों में समाया था।"

मैं इसके आगे कुछ और बतला पाता और तुम्हारे क़रीब आता कि
घर के दरवाज़े की खटखट ने,
मेरी गहरी मुक़म्मल नींद को मौत में तब्दील होने से रोक लिया।।

और वो अधूरा ख़्वाब अधूरा ही रहा, फिर कभी पूरा न हो सका।

  - Shivansh Singhaniya

More by Shivansh Singhaniya

As you were reading Shayari by Shivansh Singhaniya

Similar Writers

our suggestion based on Shivansh Singhaniya

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari